Varanasi : The spiritual Capital of India - Untold Stories of the District

 INTRODUCTION:


Bharat ka sabse purana sahar aur mahadev ki nagri jo lagbag 3000 saal purana h 

ak anokha, adhbut aur avishwashniya sahar jisme swayam mahadev nivas karte h 

oo sahar jaha ki galio me kuch apna sa lagta h jisme se bahar aana bhi kisi bhulbhulaiya 

 se kam nhi kai salo purani mandire aur ghr jaha upashit ho jaha maa ganga ka ashirwad 

milta ho aisi adhbhut nagri ko kashi, banaras aur Varanasi ke name se jana jata h jise 

swapam tridev me zikra kiya gya ho kai hamare mahan sant jinki karmbhumi yahi pr h 

jaise sant kavi tulsidas ji , kabir das ji aisi pawan nagri ko kashi name se jana jata h 


kashi me 88 lokpriay ghat h jiska apna kud ka bahot mahatva h jisme se sabse adhbut 

manikarnika ghat h jaha pr hr roj 100 se adhik log ko mukti ka marg milta h yaha pr mrityu ke 

pashyat manav ke sarir ko jalaya jata h jisse pauranavik manayta h ki yaha pr dhah 

sanskar karne pr manushya ko mokksha mila h 


CULTURE AND ART

yaha ki banarasi sari duniya bhar me prashidha h log sab bhi yaha ghumne aate h to 

apne sath kuch na kuch leke hi jate h yadgar aur apno ko yaha ke apne pan ko janne 

ke liye hr gali me apko sangit hota hua milega koi ram ka bhajan karta milega to koi 

shiv ka yaha pr anek kalakar jaise bhismila kha aur ravishankar jaise mahan kalakar 

yahi se jhude huye h 


THE TASTE OF VARANASI : FROM PAAN TO LASSI

yaha ka banarasi pan aur chat tamatar behad mahasur h log bahot pasand karte h mai 

apse request karta hu yaha pr jab bhi aaye to apna pan apko dhundhne ki jarurat nhi 

hogi apka apna pn automatic lagne lagega bs yaha ke logo ke sath dhulne milna ka 

thoda prayas karenge log kud pr kud apko apna bna lenge aur sath me jb aap yaha 

pr visit kariye to yaha ka pan aur chart ka jarur anand lijiye aur sath me banarasi lassi 

 ka bhi jo pure duniya me masahur h 

aur ha yadi apne banaras ka kachudi jalebi nahi khaya to kya hi khaya uska bhi 

ananad lijiyega yr vyanjan me apko varanasi ki mithas aur parampara jhalakti hue 

pratit hogi


MODERN VARANASI - ANCHIENT ROOTS TO SMART FUTURE

aaj ka banaras parampara aur taknik ka sangam h 

kashi vishvanath karidor aur smart city project jaisi chije ese nikhar rahi h aur apne

aap me adhbhut pratit kra rhi h 

ab varanasi me technology se lekar advance AI tk hr prakar ke system ko viksit kiya 

ja rha h jise yaha pr pratidin darshko ki aur sradhaluo ki sankhya adhik hoti ja rhi h

hamari kashi ab global tourism map pr teji se ubhar rha h jo eske aane wale future ko 

itna anokha bna dega ki jo koi ak bar yaha aayega uska mn aur prem se oo dha sa 

jayega aur ese hi apna sb kuch man baithega


VARANASI - NOT JUST A DISTICT, BUT A SPIRITUAL EXPERIENCE

yaaha pr hr ak gali aur nukkad, ghato pr jivan ka asli anubhav milega aur apko 

moksha pane ka awashar prapt hoga.....

yah nagri sanskriti , bhakti , jivandarshan ka pratit h jo yaha ak bar aata h oo Varanasi 

ko kabhi nhi bhulta h bs kho jata h kashi ki prachin sanskritio me aur yaha ke logo 

me 

Har Har Mahadev 



Comments

Post a Comment